Unki yaad aa rahi hai

 

 tanha gujar rahi thi
tanha gujar rahi hai
jo ankhon mein bas gayi thi
wo dil mein utar rahi hai
wo cheez nahi hai tu
ho jisko bhulana asaan
ankhon ki roshni thi
sanson mein khusbu bankar bikhar rahi hai
sabnam ki boond ho tum
ya heera tarasa koi
chandni tere badan se
poonam ki bikhar rahi hai
jai� ko rijha liya tha
har adaa ne teri
dil mein samaye rehti thi
tasvir tu bhi meri
bhula diya tha jinko kabhi ka-
unki yaad aa rahi hai
jo sookhi padi thi sadiyon se
wo aankhein aansu baha rahi hai